Some heart releted lines————sayriya              —-RITIK K P

Ai chand chamakna chhod de
Teri chandni mujhe satati hai

Tere jaisa hi tha uska chehra 

Tujhe dekh ke yad uski aati hai

————————————————-

Uska wada bhi bada ajib tha 

Jindgi bhar sath nibhane ka

Maine ye bhi nahi puchha

Uske sath ,ya , uski yado ke sath

————————————————–Mang lu to mannat wo hai

Chah lu to mohabbat wo hai

Lekin usko kon samjhaye 

Meri jaan wo hai……………….


Aao milkar ped lagaye

Pedo me bhi hoti hai jaan

Fir bhi kyo kaate insaan,

Bade fayede inse, tu man

Mat kat o nadan,

Pradusan SE ye hame bachate

Watavaran ko swacchh banate,

Mithe rasile fal ham khate

Inke fulo SE jag ko mahkate,

Dhup me inke niche jaye

Or thandi si chhaya PAYE,

Aao milkar ped lagaye

Dharti ko khushal banaye,

              ———-RITIK PANDEY

Pyar ke pal


Pal aaj bhi khubsurat hai

Dil me bas Teri hi Surat hai

Kuchh bhi kahe duniya hame,koi gum nahi

Duniya SE jyada mujhe Teri jarurat hai

Kaisi hai duniya ,jise bhata nahi pyar

Jane kyo log pyar ke bich me,utha lete hai hathiyar

Kon samjhaye in duniya walo ko

Kismat walo ko milta hai pyar

Jane kyo log pyar ke bich me utha lete hai hathiyar

Heer-Ranjha or laila-Majnu NE bhi kabhi kiya tha pyar

Jo Mar to gaye lekin Amar raha inka pyar

Jane kyo log pyar ke bich me utha le.                                                            

                ——Ritik pandey

Jiwan ka rahasya

Hai kathin yah marg lekin ham badh rahe hai

In takatwar aandhiyo SE akele ham lad rahe hai

Jayenge ham waha , jaha jindgi le kar jayegi

Jaise taise bichhadne walo ki bas yade rah jayegi

Kya karenge ham in dhan daulat or ristay NATO ki

Jo marne ke bad yad kabhi Na aayengi

Yad kabhi Na aayengi

                     ………..Ritik pandey

Maa ki aahat:

Maa hi hai

Jo khud bhuki soti hai

Hame khilane ke liye,

Maa hi hai Jo 

Har gum khud sah leti hai

Hamari jindgi me khusiyo ki roshani jalane ke liye,

Maa hi hai Jo sari duniya SE lad jati hai

Hame bachane ke liye,

Maa ke dard ko kon janta hai,

Leki bete ke dard ko maa uske aahato SE pahchan leti hai,

Maa hi hai Jo kuchh bhi kar sakti hai

Bête ki jiwan me khusiyo Lane ke liye

                          ——Ritik Pandey

Pahli bar ki safalta hamari kismat par nirbhar ho Sakti hai  Lekin bar bar ki safalta hamare mehnat or lagan ka hi parinam hota hai.